Thursday 27 November 2014

JINNAT KA IMAAN LAANA


Huzur Nabi e Kareem ﷺ par joh jinnat imaan laye unke baare mai
       Hazrat Ibne Abbas RadiAllahu Anhu farmate hai ki yeh 7 jinn the,
Hazrat Ibne Masood RadiAllahu Anhu ne farmaya ki 9 the,
Baaz Hazraat se marvi hai ki yeh 15 the,
ek riwayat mai hai ki 60 unto par aaye the,
ek riwayat mai inki tadaad 300 hai,
ek aur riwayat 6000 ki hai
aur yeh bhi marvi hai ki 12000 the,
in sab mai tatbeek yeh hai ki, kyun ki kayi wafd aye the mumkin hai ki kisi mai 9 kisi mai 7 he hon kisi mai jyada kisi mai aur jyada,
Hazrat Mujahid Rehmatullah Alai kahete hai ki yeh jinnat Nasibain ke rehne wale the, Hazrat Ibne Masood RadiAllahu Anhu farmate hai ki yeh Asal Nakhla se aaye the, Abu Hamza Shimaal ka kahena hai ki Banu Shausaan ke the, Hazrat Ikrama RadiAllahu Anhu ka qaul hai ki yeh Zazeera Mausal se aaye the,
Hazrat Abdullah Bin Masood RadiAllahu Anhu farmate hai ki jab unhone jaad wa tosha talab kiya toh Huzur Nabi e Kareem ﷺ ne haddiyan unke liye tosha aur gobar unka chara mukarrar farmaya, aur Huzur Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya har haddi unke haath lagte he aisi ho jayegi jaisi us waqt thi jab khayi gayi yani ghosht wali hokar unhe milegi aur gobar mai bhi wahi daane paye jayenge joh us roz the jab khaye gaye the, bas koi bhi shaksh haddi wa gobar se istinja na kare, Ibne Kaseer,



Aap ke masail or
sawalat ho to email kare
Amelqadri@gmail.com
DUA O KA TALABGAAR
Amel Qadri

No comments:

Post a Comment