Thursday 27 November 2014

JINNAT KI PEDAISH

JINNAT KI HAQIQAT Hazrat Abul Awliya farmate hai jinnat 

 

ko jumeraat ke din paida kiya gaya ALLAH T'AALA ne 

 

Hazrat Aadam Alaihissalam ki paidaish se 60 hazaar saal 

pahele jinnat ko zameen mai basaya tha, Jinnat aag se paida

 kiye gaye hain, unmai kuch ko yeh taakat di gayi hai ki joh shakl chahe ikhtiyaar karlen insaan ki tarah aql wale aur jism wale hai, unmai paidaishi silsila aur nasl ki badhotri bhi hoti hai khate peete hain aur marte jeete hain, Jinnat momin aur kafir dono hote hai lekin kafir jinnat ki tadaad jyada hai insaan ki tarah unmai bhi musalman, yahudi,nasrani,majusi,mushrik wagaira hote hai isi tarah sunni,raafzi,kharzi,bid'aadi wagaira bhi hote hain, Jinnat jab zameen par abaad huwe toh unka apas mai hasad wa hakad shuru huwa unhone zameen par fasaad kiya khoon bahaya aur qatl wa garat kiya, Iblees joh uswaqt bahut maqbool bargahe ILAHI tha use huqm huwa ki apne saath farishto ki ek jamaat le aur jinnat ko zameen se nikal kar pahado aur jazeero ki taraf dhakel de, aur aisa he iblees ne kiya usne apne saathiyo ke saath jinnat ko mar mar kar pahado aur jazeero par bhaga diya, Ibne Kaseer mai hai ki jinnat ko zameen se pahado aur jazeero mai bhaga dene ka waqiya Hazrat Adam Alaihissalam ki paidaish se 2000 saal pahele ka hai, Tafseer e naeemi mai hai ki jinnat zameen par 7000 saal tak abad rahe is qaul ke mutabik jinnat ko zameen se bhaga ne wala waqiya Hazrat Adam Alaihissalam ki paidaish se 53000 saal pahele ka hai,



Aap ke masail or
sawalat ho to email kare
Amelqadri@gmail.com
DUA O KA TALABGAAR
Amel Qadri

1 comment: